Har din ki shuruaat bhor hoti hai, Aur ratri agla chorr hoti hai. Aur in choron ke beech lamba samay hota hai, Kabhi andhkaar liye, kabhi mangalmay hota hai. Subah ke aagey dopahar, phir saayam, phir raat, Ghabrao nahin mitr, nahin darne ki hai baat. Jo iss kram ko jaantaa hai, vah na dhairya khoyegaa, Karm ke iss kshan mein, aanand se na soegaa. Bhavishya va swayam par bharosa rakho, na ho hataash, Kyonki jisne tam se sangraam kiya, ussi ka hai prakaash. Karm-sheeltaa se toh saagar paar kar sakte ho, Phir isss akarmanyataa se bhi kyon thakte ho?
Mehnat karne walon ke liye lakshya banta aasaan, Pyaas ke maare ko hee jal kee sachhi pechaan. Yeh samay hai amulya, abhi hee kuch karo, Karmath bano, iss tarah haath par haath na dharo. Aagey badh batao, haraa paayaa tumhe andher nahin, Raatri kitni hee lambi ho, subah mein der nahin!