Raat ke andhere mein, Saagar ke us paar, Ek vishaal kaay vriksha par, Khole mann ke dvaar, Aakaash mein chandrma kaa, Chakor kare intezaar. “Ab aayaa wah ab aayaa,” Bole mann baar-baar, “Swaami ab darshan do”, Aise kare vichaar, Hriday mein uske umadh raha, Besabri kaa paaraavaar, Usne jabse jheli hai, Prem baan ki maar, Bach naa saki is-se, Hui vah bhi shikaar. Din mein na usko chain, “Anokha hua uska vyavhaar”, Kahein uski sakhiyan, “Jabse lagaa prem jwaar.” Antatah, jab chandrma aayaa, Sapney lage hue saakaar, Kathinaai se prastut kar paayi, Apne hriday ke bhaav vichaar. “Kshamaa karna Chakor,” Nikalaa much se, Chandra ke pehli baar, “ Main sthir ho sakta nahin, Mera jeevan hai niraakaar, Aisaa hai jabse , Maine khaayi Prithvi se haar, Padti hai lagaani uski parikrama, Jabki tha Surya se pyaar. Dikhaanaa padtaa hai much Prithvi ko, Chaar maah mein chaar baar, Asthir hoon, toh hai mera, Na koi saathi, na yaar, Tum bhi mujhse preeti chodo, Anya ar vyakta karo hriday aagaar. Saamaanya jeevan phir se jiyo, Padi rehne do netra patt ki deewaar. Jaise se saagar ke kinaarein hain, Is paar aur us paar, Vaise hi tum mujhe bhool, Bichhadne do apna pyar, Mera jeevan patjhad hai, Na aayegi ismein bahaar. Na koi geet gaayegaa, Na chhedegaa aanand veena ke taar.” Sun Chandra ko boli Chakor, “Ai mere jeevan ke pyaar! Suno meri baat khol, Apne mann ke dwaar. Main na bhooloongi tumhein, Karoon prayaas kitni hi baar, Aur, Prithvi ke prayaas ke vipreet, Surya, grahan se karta prdarshit, Vah bhii apna pyaar! Aashaa ka saath na chhod, Niraashaa par karo tum vaar! Main bhi sadaiev chaahoongi tumhe, Karoongi pyaar issi prakaar.” Aaj bhi, raat ke andhere mein, Saagar ke us paar, Ek vishaal kaay vriksha par, Khole mann ke dvaar, Aakaash mein Chandrma kaa, Chakor kare intezaar……